kabe mein ja raha to na do tana kya kahen
kaabe meñ jā rahā to na do ta.ana kyā kaheñ
bhūlā huuñ haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
taa.at meñ tā rahe na mai-o-añgbīñ kī laag
dozaḳh meñ Daal do koī le kar bahisht ko
huuñ munharif na kyuuñ rah-o-rasm-e-savāb se
TeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko
'ġhālib' kuchh apnī sa.ī se lahnā nahīñ mujhe
ḳhirman jale agar na malaḳh khaa.e kisht ko
kabe mein ja raha to na do tana kya kahen
bhula hun haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
taat mein ta rahe na mai-o-angbin ki lag
dozaKH mein Dal do koi le kar bahisht ko
hun munharif na kyun rah-o-rasm-e-sawab se
TeDha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko
'ghaalib' kuchh apni sai se lahna nahin mujhe
KHirman jale agar na malaKH khae kisht ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.