kaenat-e-husn mein ek barhami pati hun main
kā.enāt-e-husn meñ ik barhamī paatī huuñ maiñ
zindagī meñ zindagī hī kī kamī paatī huuñ maiñ
dekhiye yuuñ chhū na liije dil ke tāroñ ko mire
aap kī uljhī nigāhoñ se bhī ghabrātī huuñ maiñ
zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar kī baat phir se chheḌiye
saaz ke dilkash suroñ par ab ġhazal gaatī huuñ maiñ
ye garāñ-bārī-e-manzil ye tamannā-e-hasīñ
aap kī paiham navāzish kī qasam khātī huuñ maiñ
zindagī ne kyā diyā hai mujh ko ik ġham ke sivā
zindagī meñ rang bharne kab se muskātī huuñ maiñ
maiñ ne sajdoñ par nahīñ rakkhā madār-e-zindagī
zindagī meñ bandagī kā raaz pā jaatī huuñ maiñ
kaenat-e-husn mein ek barhami pati hun main
zindagi mein zindagi hi ki kami pati hun main
dekhiye yun chhu na lije dil ke taron ko mere
aap ki uljhi nigahon se bhi ghabraati hun main
zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar ki baat phir se chheDiye
saz ke dilkash suron par ab ghazal gati hun main
ye garan-bari-e-manzil ye tamanna-e-hasin
aap ki paiham nawazish ki qasam khati hun main
zindagi ne kya diya hai mujh ko ek gham ke siwa
zindagi mein rang bharne kab se muskati hun main
main ne sajdon par nahin rakkha madar-e-zindagi
zindagi mein bandagi ka raaz pa jati hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.