kafir banunga kufr ka saman to kijiye
kāfir banūñgā kufr kā sāmāñ to kījiye
pahle ghanerī zulf pareshāñ to kījiye
us nāz-e-hosh ko ki hai muusā pe tāna-zan
ik din naqāb ulaT ke pashīmāñ to kījiye
ushshāq bandagān-e-ḳhudā haiñ ḳhudā nahīñ
thoḌā sā narḳh-e-husn ko arzāñ to kījiye
qudrat ko ḳhud hai husn ke alfāz kā lihāz
iifā bhī ho hī jā.egā paimāñ to kījiye
tā-chand rasm-e-jāma-darī kī hikāyateñ
taklīf yak-tabassum-e-pinhāñ to kījiye
yuuñ sar na hogī 'josh' kabhī ishq kī muhim
dil ko ḳhirad se dast-o-garebāñ to kījiye
kafir banunga kufr ka saman to kijiye
pahle ghaneri zulf pareshan to kijiye
us naz-e-hosh ko ki hai musa pe tana-zan
ek din naqab ulaT ke pashiman to kijiye
ushshaq bandagan-e-KHuda hain KHuda nahin
thoDa sa narKH-e-husn ko arzan to kijiye
qudrat ko KHud hai husn ke alfaz ka lihaz
ifa bhi ho hi jaega paiman to kijiye
ta-chand rasm-e-jama-dari ki hikayaten
taklif yak-tabassum-e-pinhan to kijiye
yun sar na hogi 'josh' kabhi ishq ki muhim
dil ko KHirad se dast-o-gareban to kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.