kaghazi hauslon se KHauf aaya
kāġhazī hausloñ se ḳhauf aaya
yā hameñ bārishoñ se ḳhauf aaya
dekh sakte haiñ chhū nahīñ sakte
haath bhar fāsloñ se ḳhauf aaya
ḳhaar kāñpe ki phuul kyā nikleñ
phuul ko ḳhushbūoñ se ḳhauf aaya
maañ ke qadmoñ ko chūmne se ga.e
baap kī muTThiyoñ se ḳhauf aaya
raat jab tum se mil ke aaya maiñ
aane vaale dinoñ se ḳhauf aaya
ek jarsūma le gayā baazī
kyā chuḌailoñ jinnoñ se ḳhauf aaya
jūñhī māchis dikhā.ī cigarette ko
apnī hī uñgliyoñ se ḳhauf aaya
sub.h-ḳhezī se sub.h ghabrā.ī
raat ko rat-jagoñ se ḳhauf aaya
ye khachā-khach bharī huī vahshat
be-basoñ ko basoñ se ḳhauf aaya
pahle Dartā rahā lakīroñ se
phir mujhe dā.eroñ se ḳhauf aaya
ḳhālī tanhā udaas saḌkoñ par
ghūmte Tyroñ se ḳhauf aaya
pahle jī chāhā maiñ yaqīñ kar luuñ
phir tire shobadoñ se ḳhauf aaya
kaghazi hauslon se KHauf aaya
ya hamein barishon se KHauf aaya
dekh sakte hain chhu nahin sakte
hath bhar faslon se KHauf aaya
KHar kanpe ki phul kya niklen
phul ko KHushbuon se KHauf aaya
man ke qadmon ko chumne se gae
bap ki muTThiyon se KHauf aaya
raat jab tum se mil ke aaya main
aane wale dinon se KHauf aaya
ek jarsuma le gaya bazi
kya chuDailon jinnon se KHauf aaya
junhi machis dikhai cigarette ko
apni hi ungliyon se KHauf aaya
subh-KHezi se subh ghabrai
raat ko rat-jagon se KHauf aaya
ye khacha-khach bhari hui wahshat
be-bason ko bason se KHauf aaya
pahle Darta raha lakiron se
phir mujhe daeron se KHauf aaya
KHali tanha udas saDkon par
ghumte Tyron se KHauf aaya
pahle ji chaha main yaqin kar lun
phir tere shobadon se KHauf aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.