kaghazi pairahan-e-jaan se guzarta suraj
kāġhazī pairahan-e-jāñ se guzartā sūraj
lamha-lamha mire andar hī utartā sūraj
vahshat-e-ḳhvāb ne pal-bhar mujhe sone na diyā
kaash be-ḳhvābī ke sahrā meñ na martā sūraj
ab talak naqsh-ba-dīvār hī rahtī tahrīr
vāsta ban ke jo ghar-ghar na utartā sūraj
pattharoñ ke har ik ābād jazīre se 'ḳhumār'
jins-e-shīsha liye be-ḳhauf guzartā sūraj
kaghazi pairahan-e-jaan se guzarta suraj
lamha-lamha mere andar hi utarta suraj
wahshat-e-KHwab ne pal-bhar mujhe sone na diya
kash be-KHwabi ke sahra mein na marta suraj
ab talak naqsh-ba-diwar hi rahti tahrir
wasta ban ke jo ghar-ghar na utarta suraj
pattharon ke har ek aabaad jazire se 'KHumar'
jins-e-shisha liye be-KHauf guzarta suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.