kajal bhara hai nain mein aur munh mein pan bhi
kājal bharā hai nain meñ aur muñh meñ paan bhī
miltā nahīñ hai ruup kā lekin nishān bhī
ab kyā kaheñ vo jhāñkne vaale nahīñ rahe
naTkhaT galī vahī hai aur bāñkā makān bhī
dil kī purānī bāñsurī le kar kahīñ chaleñ
tarkash ke saath toḌ deñ tīr-o-kamān bhī
is tañg-dil se shahr meñ kyā soch ke base
āñgan gayā thā saath meñ khoyā hai lawn bhī
jañgal ke bāsiyoñ ke sabhī jaal kaaT deñ
pheñke uḌā ke āñdhiyāñ ūñche machān bhī
chhoTe se dil kā aur thā ik paañv tīsrā
dene ko de diye the use do-jahān bhī
in kī ġhazal kā kyā kaheñ jaadū charāġh hai
rahne ko ye makān hai ghar kī dukān bhī
kajal bhara hai nain mein aur munh mein pan bhi
milta nahin hai rup ka lekin nishan bhi
ab kya kahen wo jhankne wale nahin rahe
naTkhaT gali wahi hai aur banka makan bhi
dil ki purani bansuri le kar kahin chalen
tarkash ke sath toD den tir-o-kaman bhi
is tang-dil se shahr mein kya soch ke base
aangan gaya tha sath mein khoya hai lawn bhi
jangal ke basiyon ke sabhi jal kaT den
phenke uDa ke aandhiyan unche machan bhi
chhoTe se dil ka aur tha ek panw tisra
dene ko de diye the use do-jahan bhi
in ki ghazal ka kya kahen jadu charagh hai
rahne ko ye makan hai ghar ki dukan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.