kakul-o-chashm-o-lab-o-ruKHsar ki baaten karo
kākul-o-chashm-o-lab-o-ruḳhsār kī bāteñ karo
zulmat-e-daurāñ meñ husn-e-yār kī bāteñ karo
kaun kyuuñ le kar chalā aatā hai un kā qāfila
āñso.oñ ke qāfila-e-sālār kī bāteñ karo
koī chāhe yā na chāhe ye safar hai nā-guzīr
kārvān-e-vaqt kī raftār kī bāteñ karo
ḳhanjaro kuchh to sar-e-maqtal pe ho.e tabsira
āriyo kaaTe ga.e ashjār kī bāteñ karo
kyā nahīñ mumkin ki ho hālāt pahle kī tarah
kyā zarūrī hai ki tum pindār kī bāteñ karo
vā.izo ab ke sharāb-e-ishq par taqrīr ho
mai-kashoñ allāh ke dīdār kī bāteñ karo
be-qarārī kā sabab banñe lagī dānishvarī
ab sukūñ darkār hai be-kār kī bāteñ karo
kakul-o-chashm-o-lab-o-ruKHsar ki baaten karo
zulmat-e-dauran mein husn-e-yar ki baaten karo
kaun kyun le kar chala aata hai un ka qafila
aansoon ke qafila-e-salar ki baaten karo
koi chahe ya na chahe ye safar hai na-guzir
karwan-e-waqt ki raftar ki baaten karo
KHanjaro kuchh to sar-e-maqtal pe hoe tabsira
aariyo kaTe gae ashjar ki baaten karo
kya nahin mumkin ki ho haalat pahle ki tarah
kya zaruri hai ki tum pindar ki baaten karo
waizo ab ke sharab-e-ishq par taqrir ho
mai-kashon allah ke didar ki baaten karo
be-qarari ka sabab banne lagi danishwari
ab sukun darkar hai be-kar ki baaten karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.