kale kapDe nahin pahne hain to itna kar le
kaale kapḌe nahīñ pahne haiñ to itnā kar le
ik zarā der ko kamre meñ añdherā kar le
ab mujhe paar utar jaane de aisā kar le
varna jo aa.e samajh meñ tirī dariyā kar le
ḳhud-ba-ḳhud rāsta de degā ye tūfān mujhe
tujh ko paane kā agar dil ye irāda kar le
aaj kā kaam tujhe aaj hī karnā hogā
kal jo karnā hai to phir aaj taqāzā kar le
ab baḌe logoñ se achchhā.ī kī ummīd na kar
kaise mumkin hai karailā koī mīThā kar le
gar kabhī ronā hī paḌ jaa.e to itnā ronā
aa ke barsāt tire sāmne tauba kar le
muddatoñ ba.ad vo aa.egā hamāre ghar meñ
phir se ai dil kisī ummīd ko zinda kar le
ham-safar lailā bhī hogī maiñ tabhī jā.ūñgā
mujh pe jitne bhī sitam karne hoñ sahrā kar le
kale kapDe nahin pahne hain to itna kar le
ek zara der ko kamre mein andhera kar le
ab mujhe par utar jaane de aisa kar le
warna jo aae samajh mein teri dariya kar le
KHud-ba-KHud rasta de dega ye tufan mujhe
tujh ko pane ka agar dil ye irada kar le
aaj ka kaam tujhe aaj hi karna hoga
kal jo karna hai to phir aaj taqaza kar le
ab baDe logon se achchhai ki ummid na kar
kaise mumkin hai karaila koi miTha kar le
gar kabhi rona hi paD jae to itna rona
aa ke barsat tere samne tauba kar le
muddaton baad wo aaega hamare ghar mein
phir se ai dil kisi ummid ko zinda kar le
ham-safar laila bhi hogi main tabhi jaunga
mujh pe jitne bhi sitam karne hon sahra kar le
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.