kali raat ka naKHra dekho
kaalī raat kā naḳhra dekho
zālim kaise itrātī hai
tāroñ kā kamḳhāb pahan ke
chāñd ko aksar bahkātī hai
takiye par sargoshī rakh ke
kaan kī baalī so jaatī hai
zahrīle nāgoñ kī sāñseñ
raat kī raanī mahkātī hai
chāñd samundar meñ utre to
jal kī machhlī mar jaatī hai
kali raat ka naKHra dekho
zalim kaise itraati hai
taron ka kamKHab pahan ke
chand ko aksar bahkati hai
takiye par sargoshi rakh ke
kan ki baali so jati hai
zahrile nagon ki sansen
raat ki rani mahkati hai
chand samundar mein utre to
jal ki machhli mar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.