kali raaton ko bhi rangin kaha hai maine
kaalī rātoñ ko bhī rañgīn kahā hai maiñ ne
terī har baat pe āmīn kahā hai maiñ ne
terī dastār pe tanqīd kī himmat to nahīñ
apnī pā-posh ko qālīn kahā hai maiñ ne
maslahat kahiye use yā ki siyāsat kahiye
chiil kavvoñ ko bhī shāhīn kahā hai maiñ ne
zā.iqe bārhā āñkhoñ meñ mazā dete haiñ
ba.az chehroñ ko bhī namkīn kahā hai maiñ ne
tū ne fan kī nahīñ shajre kī himāyat kī hai
tere e.azāz ko tauhīn kahā hai maiñ ne
kali raaton ko bhi rangin kaha hai main ne
teri har baat pe aamin kaha hai main ne
teri dastar pe tanqid ki himmat to nahin
apni pa-posh ko qalin kaha hai main ne
maslahat kahiye use ya ki siyasat kahiye
chil kawwon ko bhi shahin kaha hai main ne
zaiqe barha aankhon mein maza dete hain
baz chehron ko bhi namkin kaha hai main ne
tu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki hai
tere eazaz ko tauhin kaha hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.