kaam aisa main koi kar jaun
kaam aisā maiñ koī kar jā.ūñ
aap ke qalb meñ utar jā.ūñ
thaam lo haath tum agar merā
maiñ nikhar jā.ūñ maiñ sañvar jā.ūñ
ban gayā but maiñ dekh kar tum ko
dil meñ thā dekh kar guzar jā.ūñ
itnī shiddat se tum ko chāhā hai
tum ko pā luuñ agar to mar jā.ūñ
tum bhulā.e bhulā nahīñ saktīñ
maiñ nasha vo nahīñ utar jā.ūñ
aise 'zuhaib' aaj TuuTā huuñ
koī chhū le to maiñ bikhar jā.ūñ
kaam aisa main koi kar jaun
aap ke qalb mein utar jaun
tham lo hath tum agar mera
main nikhar jaun main sanwar jaun
ban gaya but main dekh kar tum ko
dil mein tha dekh kar guzar jaun
itni shiddat se tum ko chaha hai
tum ko pa lun agar to mar jaun
tum bhulae bhula nahin saktin
main nasha wo nahin utar jaun
aise 'zuhaib' aaj TuTa hun
koi chhu le to main bikhar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.