kaam bas nam ka nahin hota
kaam bas naam kā nahīñ hotā
naam kuchh kaam kā nahīñ hotā
aaj kī shaam kā jo aalam hai
har kisī shaam kā nahīñ hotā
chain had se baḌhā to yāroñ phir
chain ārām kā nahīñ hotā
yuuñ to is be-ḳhudī ke mas.ale meñ
sab gunāh jaam kā nahīñ hotā
aage āġhāz kā tarīqa thā
ab to anjām kā nahīñ hotā
intizār āhaToñ kā jitnā hai
itnā paiġhām kā nahīñ hotā
dard to sirf dard hai ke dard
ḳhaas yā aam kā nahīñ hotā
ek pal maiñ ne bhī to bāñdhā hai
pyaar bas raam kā nahīñ hotā
har koī daropdī bache itnā
hausla shyām kā nahīñ hotā
kaam bas nam ka nahin hota
nam kuchh kaam ka nahin hota
aaj ki sham ka jo aalam hai
har kisi sham ka nahin hota
chain had se baDha to yaron phir
chain aaram ka nahin hota
yun to is be-KHudi ke masale mein
sab gunah jam ka nahin hota
aage aaghaz ka tariqa tha
ab to anjam ka nahin hota
intizar aahaTon ka jitna hai
itna paigham ka nahin hota
dard to sirf dard hai ke dard
KHas ya aam ka nahin hota
ek pal main ne bhi to bandha hai
pyar bas ram ka nahin hota
har koi daropdi bache itna
hausla shyam ka nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.