kaam himmat se jawan mard agar leta hai
kaam himmat se javāñ mard agar letā hai
saañp ko maar ke ganjīna-e-zar letā hai
nā-gavārā ko jo kartā hai gavārā insāñ
zahr pī kar maza-e-shīr-o-shakar letā hai
haale meñ maah kā hotā hai chakoroñ ko yaqīñ
kabhī añgḌā.ī jo vo rashk-e-qamar letā hai
vo zubūñ-baḳht shajar huuñ maiñ ki dahqāñ merā
pīchhe botā hai mujhe pahle tabar letā hai
manzil-e-faqr-o-fanā jā-e-adab hai ġhāfil
bādshah taḳht se yaañ apne utar letā hai
ganj-e-pinhāñ haiñ tasarruf meñ banī-ādam ke
kaan se laal ye dariyā se guhar letā hai
nazar aa jaatā hai ai gul jise ruḳhsār tirā
phūloñ se dāman-e-nazzāra vo bhar letā hai
aql kar detī hai insāñ kī jahālat zaa.il
maut se jaan chhupāne ko sipar letā hai
yaad rakhtā hai adam meñ koī sāġhar-kash use
hichkiyāñ shīsha-e-mai shām-o-sahar letā hai
ġhairat-e-nāla-o-fariyād na kho ai 'ātish'
āshnā koī nahīñ kaun ḳhabar letā hai
kaam himmat se jawan mard agar leta hai
sanp ko mar ke ganjina-e-zar leta hai
na-gawara ko jo karta hai gawara insan
zahr pi kar maza-e-shir-o-shakar leta hai
haale mein mah ka hota hai chakoron ko yaqin
kabhi angDai jo wo rashk-e-qamar leta hai
wo zubun-baKHt shajar hun main ki dahqan mera
pichhe bota hai mujhe pahle tabar leta hai
manzil-e-faqr-o-fana ja-e-adab hai ghafil
baadshah taKHt se yan apne utar leta hai
ganj-e-pinhan hain tasarruf mein bani-adam ke
kan se lal ye dariya se guhar leta hai
nazar aa jata hai ai gul jise ruKHsar tera
phulon se daman-e-nazzara wo bhar leta hai
aql kar deti hai insan ki jahaalat zail
maut se jaan chhupane ko sipar leta hai
yaad rakhta hai adam mein koi saghar-kash use
hichkiyan shisha-e-mai sham-o-sahar leta hai
ghairat-e-nala-o-fariyaad na kho ai 'atish'
aashna koi nahin kaun KHabar leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.