kaam-jui rah-o-rasm-e-am hai
kām-jūī rāh-o-rasm-e-'ām hai
jāñ-nisāroñ ko vafā se kaam hai
husn kī fitna-nigāhī kam nahīñ
'ishq hī par kyoñ ye sab ilzām hai
ḳhūn-e-ahl-e-dil se jo rangīn hai
aisī duniyā se mujhe kyā kaam hai
aap aur hoñ merī barbādī pe shaad
kyā mohabbat kā yahī anjām hai
sāhab-e-zauq-e-nazar to ho koī
ham ne maanā terā jalva 'aam hai
dekh kar dār-o-rasan himmat na haar
manzil-e-maqsūd bas do-gām hai
zarre-zarre meñ ye josh-e-inqalāb
us nigāh-e-‘ishva-gar kā kaam hai
vā'iz-e-ḳhush-go kī bātoñ par na jā
us ke mai-ḳhāne meñ ḳhālī jaam hai
dekh kar tevar tire badle hue
saarī duniyā larza-bar-andām hai
hai vo ik taḳh.īl-e-rangīñ kī bahār
vā’izoñ meñ jis kā jannat naam hai
dānish-e-imroz ke sarmāya-dār
terī fikr-e-sūd-e-'ālam ḳhaam hai
husn kī 'aḳhtar' ġhalat-baḳhshī na pūchh
bul-havas par lutf hai in'ām hai
kaam-jui rah-o-rasm-e-'am hai
jaan-nisaron ko wafa se kaam hai
husn ki fitna-nigahi kam nahin
'ishq hi par kyon ye sab ilzam hai
KHun-e-ahl-e-dil se jo rangin hai
aisi duniya se mujhe kya kaam hai
aap aur hon meri barbaadi pe shad
kya mohabbat ka yahi anjam hai
sahab-e-zauq-e-nazar to ho koi
hum ne mana tera jalwa 'am hai
dekh kar dar-o-rasan himmat na haar
manzil-e-maqsud bas do-gam hai
zarre-zarre mein ye josh-e-inqalab
us nigah-e-‘ishwa-gar ka kaam hai
wa'iz-e-KHush-go ki baaton par na ja
us ke mai-KHane mein KHali jam hai
dekh kar tewar tere badle hue
sari duniya larza-bar-andam hai
hai wo ek taKHil-e-rangin ki bahaar
wa’izon mein jis ka jannat nam hai
danish-e-imroz ke sarmaya-dar
teri fikr-e-sud-e-'alam KHam hai
husn ki 'aKHtar' ghalat-baKHshi na puchh
bul-hawas par lutf hai in'am hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.