kaam ka ek yahi kaam kiya
kaam kā ek yahī kaam kiyā
ishq-dar-ishq sub.h-o-shām kiyā
dil javāban dhaḌak rahā thā mirā
tū ne āñkhoñ se jab salām kiyā
mujh ko tujh se baḌī mohabbat hai
le ye dil maiñ ne tere naam kiyā
bai.at-e-ishq toḌ dī us ne
jis ne duniyā kā ehtirām kiyā
tab samajh aayā ḳhāl-o-ḳhad kā kalām
tujh se jab rū-ba-rū kalām kiyā
merī bad-nāmiyoñ se pūchh tujhe
kitnī mushkil se nek-nām kiyā
ham payambar haiñ husn-e-jānāñ ke
is sharī.at ko ham ne aam kiyā
dard ke ab vahāñ ḳhazāne haiñ
maiñ ne 'ḳhālid' jahāñ qiyām kiyā
kaam ka ek yahi kaam kiya
ishq-dar-ishq subh-o-sham kiya
dil jawaban dhaDak raha tha mera
tu ne aankhon se jab salam kiya
mujh ko tujh se baDi mohabbat hai
le ye dil main ne tere nam kiya
baiat-e-ishq toD di us ne
jis ne duniya ka ehtiram kiya
tab samajh aaya KHal-o-KHad ka kalam
tujh se jab ru-ba-ru kalam kiya
meri bad-namiyon se puchh tujhe
kitni mushkil se nek-nam kiya
hum payambar hain husn-e-jaanan ke
is shariat ko hum ne aam kiya
dard ke ab wahan KHazane hain
main ne 'KHalid' jahan qiyam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.