kaam kitna hai zindagani mein
kaam kitnā hai zindagānī meñ
aur vo bulbula hai paanī meñ
pal meñ sho.ala to pal meñ hai shabnam
rañg kitne haiñ yār-e-jānī meñ
kaun kahtā hai ham nahīñ hoñge
ham jiyeñge tirī kahānī meñ
aañkh kyā bhed khol detī hai
kitne qisse likhe haiñ paanī meñ
itnī ummīd le ke baiThe ho
kaun jiitā hai dār-e-fānī meñ
vā.iz-e-ḳhush-bayān sab taslīm
kaun taa.ib huā javānī meñ
us kā sho.ala-badan ma.āz-allāh
aag lag jaa.e ThanDe paanī meñ
vaqt-e-ruḳhsat 'nadīm' do aañsū
hoñT par rakh diye nishānī meñ
kaam kitna hai zindagani mein
aur wo bulbula hai pani mein
pal mein shoala to pal mein hai shabnam
rang kitne hain yar-e-jaani mein
kaun kahta hai hum nahin honge
hum jiyenge teri kahani mein
aankh kya bhed khol deti hai
kitne qisse likhe hain pani mein
itni ummid le ke baiThe ho
kaun jita hai dar-e-fani mein
waiz-e-KHush-bayan sab taslim
kaun taib hua jawani mein
us ka shoala-badan maaz-allah
aag lag jae ThanDe pani mein
waqt-e-ruKHsat 'nadim' do aansu
honT par rakh diye nishani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.