kaam kuchh aa na saki rasm-e-shanasai bhi
kaam kuchh aa na sakī rasm-e-shanāsā.ī bhī
shāmil-e-bazm thī shāyad mirī tanhā.ī bhī
kaash tū apnī talab meñ kabhī pahuñche mujh tak
terā hī aa.ina hai chashm-e-tamāshā.ī bhī
sahl mat samjho mire shauq kī nākāmī ko
muft miltī hai kahīñ izzat-e-rusvā.ī bhī
chashm-e-be-ḳhvāb meñ hai ḳhvāb kī sūrat ik shaḳhs
ḳhud se ġhāfil bhī hai aur mahv-e-ḳhud-ārā.ī bhī
ḳhair maiñ to isī qābil thā magar ye to batā
zindagī kyā tū kisī ko kabhī raas aa.ī bhī
kaam kuchh aa na saki rasm-e-shanasai bhi
shamil-e-bazm thi shayad meri tanhai bhi
kash tu apni talab mein kabhi pahunche mujh tak
tera hi aaina hai chashm-e-tamashai bhi
sahl mat samjho mere shauq ki nakaami ko
muft milti hai kahin izzat-e-ruswai bhi
chashm-e-be-KHwab mein hai KHwab ki surat ek shaKHs
KHud se ghafil bhi hai aur mahw-e-KHud-arai bhi
KHair main to isi qabil tha magar ye to bata
zindagi kya tu kisi ko kabhi ras aai bhi
- Book : Abyaat (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.