kaam kuchh aise kar gaya hun main
kaam kuchh aise kar gayā huuñ maiñ
apnī āñkhoñ ko bhar gayā huuñ maiñ
zindagī tujh se baat karnī hai
zindagī tujh se Dar gayā huuñ maiñ
ab to maiñ aur bhī burā huuñ ki
ab ziyāda sudhar gayā huuñ maiñ
us se kah do ki vo nahīñ ro.e
us se kah do ki mar gayā huuñ maiñ
zaat pūchho to ek shā.ir huuñ
apnī hī zaat par gayā huuñ maiñ
kaam kuchh aise kar gaya hun main
apni aankhon ko bhar gaya hun main
zindagi tujh se baat karni hai
zindagi tujh se Dar gaya hun main
ab to main aur bhi bura hun ki
ab ziyaada sudhar gaya hun main
us se kah do ki wo nahin roe
us se kah do ki mar gaya hun main
zat puchho to ek shair hun
apni hi zat par gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.