kan mein nala-e-hazar aaya
kaan meñ nāla-e-hazār aaya
muzhda-e-mausam-e-bahār aaya
kyā ḳhayāl-e-sharāb-ḳhvār aaya
barq sā abr be-qarār aaya
bāġh-e-ālam meñ thā maiñ naḳhl-e-sham.a
jal gayā gul na barg-o-bār aaya
dekh shatranj-e-dahr kī raftār
ki piyāda gayā savār aaya
mar ga.e par bhī shauq-e-vasl rahā
ḳhvāb meñ bhī ḳhayāl-e-yār aaya
shīsha-e-sā.at ik ghaḌī meñ banā
dil meñ jis dam zarā ġhubār aaya
yaar jab ġhair ke gale se milā
yaad kyā sadma-e-fishār aaya
pāk-tīnat vo thā ki parvāna
sham.a ban kar sar-e-mazār aaya
shab ko ai gul jo ġhair se tū hañsā
mujh ko ronā hazār baar aaya
baḳhsh de ab to ai ḳhudā-e-karīm
dil-e-māyūs umīd-vār aaya
ik nazar 'arsh' sair-e-hastī kar
kaun jā kar adam se yaar aaya
kan mein nala-e-hazar aaya
muzhda-e-mausam-e-bahaar aaya
kya KHayal-e-sharab-KHwar aaya
barq sa abr be-qarar aaya
bagh-e-alam mein tha main naKHl-e-shama
jal gaya gul na barg-o-bar aaya
dekh shatranj-e-dahr ki raftar
ki piyaada gaya sawar aaya
mar gae par bhi shauq-e-wasl raha
KHwab mein bhi KHayal-e-yar aaya
shisha-e-saat ek ghaDi mein bana
dil mein jis dam zara ghubar aaya
yar jab ghair ke gale se mila
yaad kya sadma-e-fishaar aaya
pak-tinat wo tha ki parwana
shama ban kar sar-e-mazar aaya
shab ko ai gul jo ghair se tu hansa
mujh ko rona hazar bar aaya
baKHsh de ab to ai KHuda-e-karim
dil-e-mayus umid-war aaya
ek nazar 'arsh' sair-e-hasti kar
kaun ja kar adam se yar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.