kar-e-asan ko dushwar bana jata hai
kār-e-āsān ko dushvār banā jaatā hai
vāhima koī bhī ho kaam dikhā jaatā hai
khulne lagte haiñ nigāhoñ pe jab asrār-o-rumūz
dil mujhe le ke kahīñ aur chalā jaatā hai
ghar meñ rahnā mirā goyā use manzūr nahīñ
jab bhī aatā hai nayā kaam batā jaatā hai
saada rakhne se sadā detā hai qirtās mujhe
lafz likh duuñ to mirī saakh girā jaatā hai
ishq ne aisā banāyā hai jahāñ-dār mujhe
har ḳhasāra mirī sochoñ meñ samā jaatā hai
aao ham pahle ta.alluq ko samajh leñ 'mohsin'
ranjisheñ hoñ to marāsim kā mazā jaatā hai
kar-e-asan ko dushwar bana jata hai
wahima koi bhi ho kaam dikha jata hai
khulne lagte hain nigahon pe jab asrar-o-rumuz
dil mujhe le ke kahin aur chala jata hai
ghar mein rahna mera goya use manzur nahin
jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai
sada rakhne se sada deta hai qirtas mujhe
lafz likh dun to meri sakh gira jata hai
ishq ne aisa banaya hai jahan-dar mujhe
har KHasara meri sochon mein sama jata hai
aao hum pahle talluq ko samajh len 'mohsin'
ranjishen hon to marasim ka maza jata hai
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.