kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen
kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen
Aslam Ansari
MORE BYAslam Ansari
Interesting Fact
Vol: 286, November 2004
kār-e-ahl-e-vafā jehd-o-taslīm hai ham bhī taslīm meñ kyā ta.ammul kareñ
zaat ke dasht kitne hī darpesh haiñ kyā kareñge agar phir tasāhul kareñ
ai sarīr-e-qalam ai zamīr-e-jahāñ aap apnī zabāñ meñ jo likhnā ho likh
kitne ahvāl haiñ nā-navishta abhī kyā munāsib hai un se taġhāful kareñ
ham pareshān-o-āshufta logoñ meñ bhī ik zamāna huā ek dhīraj sā thā
ab to ham aise logoñ kī ḳhvāhish bhī hai kū-o-barzan meñ jā tā-ba-shab ġhul kareñ
mere alfāz meñ merā ḳhūn-e-jigar kaise kaise jhalaktā hai dekheñ kabhī
sāz-e-ishq-o-havas go ham-āhañg haiñ phir bhī ishq-o-havas meñ taqābul kareñ
ab to ahl-e-hunar ek hī rāsta aap aisoñ kī ḳhātir khulā hai abhī
har atā-e-zamāñ par tashakkur kareñ har jafā-e-jahāñ kā tahammul kareñ
kahnā sunñā bhī ik vaz-e-tahzīb hai kahne sunñe meñ naqs-e-marātib nahīñ
ik zarā chup raheñ ham bhī gulzār meñ pās-e-rasm-e-hikāyāt-e-bulbul kareñ
TūTtī haiñ ravāyāt-e-mīnā-o-mai kyā kareñge evaz meñ maqāmāt ke
ahl-e-tadbīr abhī vaqt-e-tadbīr hai aa.eñ aur ehtimām-e-tasalsul kareñ
vo jo arbāb-e-dānish haiñ un ke liye ik nisāb-e-amal sūjhtā hai mujhe
kyā haiñ vo aur kyā hai ye nazm-e-jahāñ kuchh tafakkur kareñ kuchh ta.ammul kareñ
kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen
zat ke dasht kitne hi darpesh hain kya karenge agar phir tasahul karen
ai sarir-e-qalam ai zamir-e-jahan aap apni zaban mein jo likhna ho likh
kitne ahwal hain na-nawishta abhi kya munasib hai un se taghaful karen
hum pareshan-o-ashufta logon mein bhi ek zamana hua ek dhiraj sa tha
ab to hum aise logon ki KHwahish bhi hai ku-o-barzan mein ja ta-ba-shab ghul karen
mere alfaz mein mera KHun-e-jigar kaise kaise jhalakta hai dekhen kabhi
saz-e-ishq-o-hawas go ham-ahang hain phir bhi ishq-o-hawas mein taqabul karen
ab to ahl-e-hunar ek hi rasta aap aison ki KHatir khula hai abhi
har ata-e-zaman par tashakkur karen har jafa-e-jahan ka tahammul karen
kahna sunna bhi ek waz-e-tahzib hai kahne sunne mein naqs-e-maraatib nahin
ek zara chup rahen hum bhi gulzar mein pas-e-rasm-e-hikayat-e-bulbul karen
TuTti hain rawayat-e-mina-o-mai kya karenge ewaz mein maqamat ke
ahl-e-tadbir abhi waqt-e-tadbir hai aaen aur ehtimam-e-tasalsul karen
wo jo arbab-e-danish hain un ke liye ek nisab-e-amal sujhta hai mujhe
kya hain wo aur kya hai ye nazm-e-jahan kuchh tafakkur karen kuchh tammul karen
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 718)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.