kar-e-bekar ki hasrat hi nahin
kār-e-bekār kī hasrat hī nahīñ
zindagī mujh ko ġhanīmat hī nahīñ
paayā tujh ko to ye jaanā ham ne
hāsil-e-zīst masarrat hī nahīñ
vasl to un kā mayassar hai magar
ab kisī chiiz se raġhbat hī nahīñ
ai tire naaz uThāne ke liye
ab dil-e-zār farāġhat hī nahīñ
ham ne to bārhā ye chāhā magar
lab-kushā.ī kī ijāzat hī nahīñ
jogiyā dard se to chuur hai dil
ab hameñ dard kī vahshat hī nahīñ
'jogī' yak-tarfa tamāshā hai yahāñ
baat karne kī zarūrat hī nahīñ
kar-e-bekar ki hasrat hi nahin
zindagi mujh ko ghanimat hi nahin
paya tujh ko to ye jaana hum ne
hasil-e-zist masarrat hi nahin
wasl to un ka mayassar hai magar
ab kisi chiz se raghbat hi nahin
ai tere naz uThane ke liye
ab dil-e-zar faraghat hi nahin
hum ne to barha ye chaha magar
lab-kushai ki ijazat hi nahin
jogiya dard se to chur hai dil
ab hamein dard ki wahshat hi nahin
'jogi' yak-tarfa tamasha hai yahan
baat karne ki zarurat hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.