kar-gah-e-hasti mein lala dagh-saman hai
kār-gāh-e-hastī meñ laala dāġh-sāmāñ hai
barq-e-ḳhirman-e-rāhat ḳhūn-e-garm-e-dahqāñ hai
ġhuncha tā shaguftan-hā barg-e-āfiyat mā'lūm
bā-vajūd-e-dil-jam.ī ḳhvāb-e-gul pareshāñ hai
ham se ranj-e-betābī kis tarah uThāyā jaa.e
daaġh pusht-e-dast-e-ijz sho'la ḳhas-ba-dandāñ hai
'ishq ke taġhāful se harzah-gard hai 'ālam
rū-e-shash-jihat-āfāq pusht-e-chashm-e-zindāñ hai
hairat tapīdan-hā ḳhuuñ bahā-e-dīdan-hā
rañg-e-gul ke parde meñ ā.īna pur-afshāñ hai
vahshat-e-anjuman hai gul dekh laale kā 'ālam
misl-e-dūd mujmir ke daaġh baal afshāñ hai
ai karam na ho ġhāfil varna hai 'asad' be-dil
be-guhar sadaf goyā pusht-e-chashm-e-naisāñ hai
kar-gah-e-hasti mein lala dagh-saman hai
barq-e-KHirman-e-rahat KHun-e-garm-e-dahqan hai
ghuncha ta shaguftan-ha barg-e-afiyat ma'lum
ba-wajud-e-dil-jami KHwab-e-gul pareshan hai
hum se ranj-e-betabi kis tarah uThaya jae
dagh pusht-e-dast-e-ijz sho'la KHas-ba-dandan hai
'ishq ke taghaful se harzah-gard hai 'alam
ru-e-shash-jihat-afaq pusht-e-chashm-e-zindan hai
hairat tapidan-ha KHun baha-e-didan-ha
rang-e-gul ke parde mein aaina pur-afshan hai
wahshat-e-anjuman hai gul dekh lale ka 'alam
misl-e-dud mujmir ke dagh baal afshan hai
ai karam na ho ghafil warna hai 'asad' be-dil
be-guhar sadaf goya pusht-e-chashm-e-naisan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.