Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin

Aabid Adeeb

kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin

Aabid Adeeb

MORE BYAabid Adeeb

    kār-nāma ai ġham-e-dil kuchh tirā ye kam nahīñ

    bah ga.e āñkhoñ se dariyā aur āñkheñ nam nahīñ

    saaf thā har lafz us be-badal taqrīr

    phir lahū ne naqsh jo chhoḌe haiñ vo mub.ham nahīñ

    har zamāne meñ nahīñ pahchānñā mushkil unheñ

    sar qalam hote raheñge un ke lekin ġham nahīñ

    karbalā ne kiye haiñ murtasim dil par nuqūsh

    varna is duniyā meñ ġham vārdāteñ kam nahīñ

    dil dil vo bhīgī lakḌī tarah sulgā kiyā

    us ke chehre se to lagtā thā ki koī ġham nahīñ

    kaifiyat kaisī ajab is shahr yādoñ hai

    garm hai ātish nahīñ aur sard hai shabnam nahīñ

    ik alag tahzīb hai tanhā.iyoñ ke shahr

    ek aalam hamesha aur koī mausam nahīñ

    phir rahe haiñ log phir hāthoñ meñ sañg-reze liye

    aur apne sar meñ saudā is ghaḌī kuchh kam nahīñ

    ham se 'ābid' apne rahbar ko shikāyat ye rahī

    aañkh mūñde un ke pīchhe chalne vaale ham nahīñ

    kar-nama ai gham-e-dil kuchh tera ye kam nahin

    bah gae aankhon se dariya aur aankhen nam nahin

    saf tha har lafz us ki be-badal taqrir ka

    phir lahu ne naqsh jo chhoDe hain wo mubham nahin

    har zamane mein nahin pahchanna mushkil unhen

    sar qalam hote rahenge un ke lekin gham nahin

    karbala hi ne kiye hain murtasim dil par nuqush

    warna is duniya mein gham ki wardaten kam nahin

    dil hi dil wo bhigi lakDi ki tarah sulga kiya

    us ke chehre se to lagta tha ki koi gham nahin

    kaifiyat kaisi ajab is shahr ki yaadon ki hai

    garm hai aatish nahin aur sard hai shabnam nahin

    ek alag tahzib hai tanhaiyon ke shahr ki

    ek hi aalam hamesha aur koi mausam nahin

    phir rahe hain log phir hathon mein sang-reze liye

    aur apne sar mein sauda is ghaDi kuchh kam nahin

    hum se 'abid' apne rahbar ko shikayat ye rahi

    aankh munde un ke pichhe chalne wale hum nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now