karKHana-e-jahan mein shor-e-matam dekhiye
kārḳhāna-e-jahāñ meñ shor-e-mātam dekhiye
mahfil-e-aish-o-tarab meñ chashm-e-pur-nam dekhiye
naqsh-e-hastī dīda-e-ibrat se hamdam dekhiye
duniyā-duniyā dekh lī ab ālam-ālam dekhiye
maiñ parastār-e-mohabbat Thahrā mujh ko chhoḌiye
aap pahle maqsad-e-taḳhlīq-e-ādam dekhiye
yuuñ to andāz-e-bayāñ haiñ dil-nashīñ sab ke magar
ik na.e andāz meñ afkār-e-hamdam dekhiye
karKHana-e-jahan mein shor-e-matam dekhiye
mahfil-e-aish-o-tarab mein chashm-e-pur-nam dekhiye
naqsh-e-hasti dida-e-ibrat se hamdam dekhiye
duniya-duniya dekh li ab aalam-alam dekhiye
main parastar-e-mohabbat Thahra mujh ko chhoDiye
aap pahle maqsad-e-taKHliq-e-adam dekhiye
yun to andaz-e-bayan hain dil-nashin sab ke magar
ek nae andaz mein afkar-e-hamdam dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.