karobar-e-shauq mein bas faeda itna hua
kārobār-e-shauq meñ bas fā.eda itnā huā
tujh se milnā thā ki maiñ kuchh aur bhī tanhā huā
koī palkoñ se utartī raat ko roke zarā
shaam kī dahlīz par ik saaya hai sahmā huā
munjamid hotī chalī jaatī haiñ āvāzeñ tamām
ek sannāTā hai saare shahr meñ phailā huā
āsmānoñ par likhī tahrīr dhuñdlī ho ga.ī
ab koī masraf nahīñ āñkhoñ kā ye achchhā huā
is hathelī meñ bahut sī dastakeñ rū-posh haiñ
us galī ke moḌ par ik ghar thā kal tak kyā huā
karobar-e-shauq mein bas faeda itna hua
tujh se milna tha ki main kuchh aur bhi tanha hua
koi palkon se utarti raat ko roke zara
sham ki dahliz par ek saya hai sahma hua
munjamid hoti chali jati hain aawazen tamam
ek sannaTa hai sare shahr mein phaila hua
aasmanon par likhi tahrir dhundli ho gai
ab koi masraf nahin aankhon ka ye achchha hua
is hatheli mein bahut si dastaken ru-posh hain
us gali ke moD par ek ghar tha kal tak kya hua
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 348)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.