karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin
karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin
Saba Afghani
MORE BYSaba Afghani
kārvāñ luT gayā rāhbar chhuT gayā raat tārīk hai ġham kā yaarā nahīñ
raah meñ bhī koī sham' jaltī nahīñ āsmāñ par bhī koī sitārā nahīñ
ye bahār-o-ḳhizāñ ye ḳhushī aur ġham ye hasīñ nāznīñ dil ke patthar sanam
sab sahāre haiñ bas chaar din ke liye zindagī-bhar kā koī sahārā nahīñ
merī ġhairat mirī aan kā imtihāñ terī sāzish pe bhārī hai ai bāġhbāñ
jaan de duuñ abhī ye to manzūr hai gulsitāñ chhoḌ duuñ ye gavārā nahīñ
ghaT ga.ī yā to zauq-e-safar kī lagan baḌh ga.ī yā na.ī laġhzishoñ se thakan
koī to baat hai jo sar-e-rah-guzar aaj manzil ne ham ko pukārā nahīñ
tum ho muḳhtār ye dil kī āvāz hai āḳhir is baat meñ kaun sā raaz hai
jis ko nisbat tumhāre hī dar se rahī vo muqaddar bhī tum ne sañvārā nahīñ
is se baḌh kar koī aur kaise jiye 'umr-bhar ham ne ik bevafā ke liye
kaun sī raat āñkhoñ meñ kaaTī nahīñ kaun sā din taḌap kar guzārā nahīñ
raas aa.e jise us ko āsān hai 'ishq kī varna har mauj tūfān hai
ai 'sabā' ek dariyā hai ye aag kā vo bhī aisā ki jis kā kinārā nahīñ
karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin
rah mein bhi koi sham' jalti nahin aasman par bhi koi sitara nahin
ye bahaar-o-KHizan ye KHushi aur gham ye hasin naznin dil ke patthar sanam
sab sahaare hain bas chaar din ke liye zindagi-bhar ka koi sahaara nahin
meri ghairat meri aan ka imtihan teri sazish pe bhaari hai ai baghban
jaan de dun abhi ye to manzur hai gulsitan chhoD dun ye gawara nahin
ghaT gai ya to zauq-e-safar ki lagan baDh gai ya nai laghzishon se thakan
koi to baat hai jo sar-e-rah-guzar aaj manzil ne hum ko pukara nahin
tum ho muKHtar ye dil ki aawaz hai aaKHir is baat mein kaun sa raaz hai
jis ko nisbat tumhaare hi dar se rahi wo muqaddar bhi tum ne sanwara nahin
is se baDh kar koi aur kaise jiye 'umr-bhar hum ne ek bewafa ke liye
kaun si raat aankhon mein kaTi nahin kaun sa din taDap kar guzara nahin
ras aae jise us ko aasan hai 'ishq ki warna har mauj tufan hai
ai 'saba' ek dariya hai ye aag ka wo bhi aisa ki jis ka kinara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.