karwan se kuchh is tarah bichhDe
kārvāñ se kuchh is tarah bichhḌe
ab kahīñ kārvāñ nahīñ miltā
dard merāj ko pahuñchtā hai
jab koī tarjumāñ nahīñ miltā
rahbaroñ kī huī vo arzā.ī
rah-ravoñ kā nishāñ nahīñ miltā
be-zabāñ ho ga.e zabāñ vaale
ab koī ham-zabāñ nahīñ miltā
'arsh' kis se kahūñ maiñ dil kā raaz
raaz hai rāz-dāñ nahīñ miltā
karwan se kuchh is tarah bichhDe
ab kahin karwan nahin milta
dard meraj ko pahunchta hai
jab koi tarjuman nahin milta
rahbaron ki hui wo arzai
rah-rawon ka nishan nahin milta
be-zaban ho gae zaban wale
ab koi ham-zaban nahin milta
'arsh' kis se kahun main dil ka raaz
raaz hai raaz-dan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.