kasa-e-dast-e-dua kaun bhare
kāsa-e-dast-e-duā kaun bhare
is qadar zaḳhm khulā kaun bhare
dhyān se chaltā huuñ thāme dil ko
TuuT jaane pe ḳhudā kaun bhare
kaam saare hī paḌe haiñ ghar ke
aah bhī mere sivā kaun bhare
kaun samjhā.e mujhe achchhā-burā
ho jo pahle hī bharā kaun bhare
koī jab muñh na lagā.e dil ko
is ġhubāre meñ havā kaun bhare
kasa-e-dast-e-dua kaun bhare
is qadar zaKHm khula kaun bhare
dhyan se chalta hun thame dil ko
TuT jaane pe KHuda kaun bhare
kaam sare hi paDe hain ghar ke
aah bhi mere siwa kaun bhare
kaun samjhae mujhe achchha-bura
ho jo pahle hi bhara kaun bhare
koi jab munh na lagae dil ko
is ghubare mein hawa kaun bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.