kasa-e-dil jo TuT jaega
kāsa-e-dil jo TuuT jā.egā
phir ye saa.il nazar na aa.egā
tū to ḳhuddār hai kisī dar par
kaise dast-e-talab baḌhā.egā
āñdhiyoñ meñ diye jalāne se
rāhbar raah bhuul jā.egā
TimTimātā huā har ik taarā
sham.a ummīd kī jalā.egā
nā-umīdī hī jab muqaddar hai
kaise taqdīr āzmā.egā
dekh kar āsmāñ jo chaltā hai
vo bhī Thokar zarūr khā.egā
jis ne dhoke bahār se khaa.e
vo ḳhizāñ ko gale lagā.egā
manziloñ kā ḳhayāl 'sailānī'
ik nayā rāsta dikhā.egā
kasa-e-dil jo TuT jaega
phir ye sail nazar na aaega
tu to KHuddar hai kisi dar par
kaise dast-e-talab baDhaega
aandhiyon mein diye jalane se
rahbar rah bhul jaega
TimTimata hua har ek tara
shama ummid ki jalaega
na-umidi hi jab muqaddar hai
kaise taqdir aazmaega
dekh kar aasman jo chalta hai
wo bhi Thokar zarur khaega
jis ne dhoke bahaar se khae
wo KHizan ko gale lagaega
manzilon ka KHayal 'sailani'
ek naya rasta dikhaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.