Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kasa-leson ne jo thi nazr utari teri

Anwar Sadeed

kasa-leson ne jo thi nazr utari teri

Anwar Sadeed

MORE BYAnwar Sadeed

    kāsa-lesoñ ne jo thī nazr utārī terī

    vahī le Duubī tujhe hasht-hazārī terī

    pūchhā jā.egā daur-e-humāyūnī

    rū-ba-kār aaj hai sarkār se jaarī terī

    us dīdār hama-vaqt ibādat merī

    aañkh ne dil pe jo tasvīr utārī terī

    ham ne har samt bichhā rakkhī haiñ āñkheñ apnī

    jaane kis samt se aa jaa.e savārī terī

    tark-e-ulfat irāda hai musammam us

    kaam aa.ī nahīñ minnat-o-zārī terī

    zarb-e-paiham tasalsul na abhī toḌ 'sadīd'

    ik na.ī zarb bhī ho saktī hai kaarī terī

    kasa-leson ne jo thi nazr utari teri

    wahi le Dubi tujhe hasht-hazari teri

    puchha jaega daur-e-humayuni ka

    ru-ba-kar aaj hai sarkar se jari teri

    us ka didar hama-waqt ibaadat meri

    aankh ne dil pe jo taswir utari teri

    hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni

    jaane kis samt se aa jae sawari teri

    tark-e-ulfat ka irada hai musammam us ka

    kaam aai hi nahin minnat-o-zari teri

    zarb-e-paiham ka tasalsul na abhi toD 'sadid'

    ek nai zarb bhi ho sakti hai kari teri

    Source :
    • Book : Prinda Safar men (Pg. 23)
    • Author : Anwar Sadeed
    • Publication : Maqbool Academy, Lahore (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now