kash aisa dayar aa jae
kaash aisā dayār aa jaa.e
gulshanoñ kī qatār aa jaa.e
kyā maza kashtiyāñ chalāne kā
jab nadī meñ utaar aa jaa.e
ab ye mazlūm jaag uTThe haiñ
hosh meñ tājdār aa jaa.e
mashq se jī churā ke ye ḳhvāhish
shā'irī meñ nikhār aa jaa.e
ḳhvāb meñ bhī agar dikhe paanī
pyaas ko kuchh qarār aa jaa.e
jītne kā junūñ na kam hogā
laakh hisse meñ haar aa jaa.e
aap jaise baḌoñ kī mahfil meñ
kyā bhalā ḳhāksār aa jaa.e
kash aisa dayar aa jae
gulshanon ki qatar aa jae
kya maza kashtiyan chalane ka
jab nadi mein utar aa jae
ab ye mazlum jag uTThe hain
hosh mein tajdar aa jae
mashq se ji chura ke ye KHwahish
sha'iri mein nikhaar aa jae
KHwab mein bhi agar dikhe pani
pyas ko kuchh qarar aa jae
jitne ka junun na kam hoga
lakh hisse mein haar aa jae
aap jaise baDon ki mahfil mein
kya bhala KHaksar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.