kash humse gila kare koi
kaash ham se gila kare koī
is bahāne milā kare koī
chheḌtā huuñ maiñ ab ġhazal apnī
mujh ko bhī ham-navā kare koī
jab vo jaane kī baat kartā hai
jaan tan se judā kare koī
har kisī se fuzūl milnā hai
mujh ko mujh sā milā kare koī
maanā 'ājiz' nahīñ hai mahfil meñ
us kī ġhazleñ paḌhā kare koī
kash hum se gila kare koi
is bahane mila kare koi
chheDta hun main ab ghazal apni
mujh ko bhi ham-nawa kare koi
jab wo jaane ki baat karta hai
jaan tan se juda kare koi
har kisi se fuzul milna hai
mujh ko mujh sa mila kare koi
mana 'ajiz' nahin hai mahfil mein
us ki ghazlen paDha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.