kash ko likkha hai kasha shukriya
kaash ko likkhā hai kāshā shukriya
lafz ko tum ne tarāshā shukriya
aap kī ḳhvāhish to puurī ho ga.ī
ban gayā huuñ maiñ tamāshā shukriya
mehrbānī mujh pe tum donoñ kī thī
is liye aashā nirāshā shukriya
hai ġharaz mujh ko faqat āvāz se
aap boleñ jo bhī bhāshā shukriya
tum ne rakkhā hai bahut merā ḳhayāl
ai sabīna aur natāshā shukriya
bad-duā.eñ lafz kī lete nahīñ
paash ko likkho na pāshā shukriya
mah-jabīno ab ijāzat do mujhe
shukriya aur be-tahāshā shukriya
kash ko likkha hai kasha shukriya
lafz ko tum ne tarasha shukriya
aap ki KHwahish to puri ho gai
ban gaya hun main tamasha shukriya
mehrbani mujh pe tum donon ki thi
is liye aasha nirasha shukriya
hai gharaz mujh ko faqat aawaz se
aap bolen jo bhi bhasha shukriya
tum ne rakkha hai bahut mera KHayal
ai sabina aur natasha shukriya
bad-duaen lafz ki lete nahin
pash ko likkho na pasha shukriya
mah-jabino ab ijazat do mujhe
shukriya aur be-tahasha shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.