kash mil jae mere dil ko mohabbat teri
kaash mil jaa.e mire dil ko mohabbat terī
mujh ko har shai se ziyāda hai zarūrat terī
itnī ujlat meñ na kar umr ke va.ade mujh se
do ghaḌī baiTh ki maiñ dekh luuñ sūrat terī
chāhe jitnā bhī tū chhup jaa.e mirī nazroñ se
maiñ ne har ek meñ dekhī hai shabāhat terī
ai mohabbat na milā mujh ko sila tujh se koī
farz kar lī hai magar ḳhud pe ibādat terī
chāhe jo maañg le mujh se hai sabhī kuchh terā
ye mirī jaañ ye mirā dil hai amānat terī
kash mil jae mere dil ko mohabbat teri
mujh ko har shai se ziyaada hai zarurat teri
itni ujlat mein na kar umr ke wade mujh se
do ghaDi baiTh ki main dekh lun surat teri
chahe jitna bhi tu chhup jae meri nazron se
main ne har ek mein dekhi hai shabahat teri
ai mohabbat na mila mujh ko sila tujh se koi
farz kar li hai magar KHud pe ibaadat teri
chahe jo mang le mujh se hai sabhi kuchh tera
ye meri jaan ye mera dil hai amanat teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.