kasni rang ke KHwabon se nikal aai hun
kāsnī rañg ke ḳhvāboñ se nikal aa.ī huuñ
mīThe paanī ke sarāboñ se nikal aa.ī huuñ
tū ne jaate hue ik baar bhī dekhā na use
vo jo kahtī thī azāboñ se nikal aa.ī huuñ
barguzīda thī tahajjud bhī na chhoḌā kartī
aur ab saare hisāboñ se nikal aa.ī huuñ
aas thī diid kī jo kaasa liye phirtī thī
maiñ javānī ke azāboñ se nikal aa.ī huuñ
mere atrāf meñ sab log bahut achchhe haiñ
dekh maiñ saare ḳharāboñ se nikal aa.ī huuñ
shab-ba-shab jaag ke paḌhtī huuñ risāle dil ke
ab maiñ bachpan kī kitāboñ se nikal aa.ī huuñ
haath meñ chūḌī nahīñ paaoñ meñ pāzeb nahīñ
ishq-zādī thī gulāboñ se nikal aa.ī huuñ
kasni rang ke KHwabon se nikal aai hun
miThe pani ke sarabon se nikal aai hun
tu ne jate hue ek bar bhi dekha na use
wo jo kahti thi azabon se nikal aai hun
barguzida thi tahajjud bhi na chhoDa karti
aur ab sare hisabon se nikal aai hun
aas thi did ki jo kasa liye phirti thi
main jawani ke azabon se nikal aai hun
mere atraf mein sab log bahut achchhe hain
dekh main sare KHarabon se nikal aai hun
shab-ba-shab jag ke paDhti hun risale dil ke
ab main bachpan ki kitabon se nikal aai hun
hath mein chuDi nahin paon mein pazeb nahin
ishq-zadi thi gulabon se nikal aai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.