katib-e-qismat ne mujh pe jab utara ek sher
kātib-e-qismat ne mujh pe jab utārā ek sher
kyoñ sunā.ūñ maiñ kisī ko phir dobāra ek sher
kyā zarūrī hai ġhazal par ham ġhazal kahte raheñ
ghar banā saktā hai dil meñ jab hamārā ek sher
chubh gayā thā dil meñ mere nok-e-nashtar kī tarah
yaad hai mujh ko abhī tak vo tumhārā ek sher
log chīḳheñ bhī kahāñ sunte haiñ itne ġhaur se
shukriya jo kar liyā tum ne gavāra ek sher
ai adībo is liye mujh ko ġhazal kahnī paḌī
phir rahā thā jaane kab se maarā maarā ek sher
katib-e-qismat ne mujh pe jab utara ek sher
kyon sunaun main kisi ko phir dobara ek sher
kya zaruri hai ghazal par hum ghazal kahte rahen
ghar bana sakta hai dil mein jab hamara ek sher
chubh gaya tha dil mein mere nok-e-nashtar ki tarah
yaad hai mujh ko abhi tak wo tumhaara ek sher
log chiKHen bhi kahan sunte hain itne ghaur se
shukriya jo kar liya tum ne gawara ek sher
ai adibo is liye mujh ko ghazal kahni paDi
phir raha tha jaane kab se mara mara ek sher
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.