kab aap ka dar jalwa-gah-e-am nahin hai
kab aap ka dar jalwa-gah-e-am nahin hai
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
kab aap kā dar jalva-gah-e-ām nahīñ hai
kab shām-o-sahar daur meñ vaañ jaam nahīñ hai
baḳhshā hai sharaf ham ko huzūrī kā tum hī ne
ab ham ko kisī aur se kuchh kaam nahīñ hai
vo sub.h nahīñ jis meñ na ho zikr tumhārā
jo yaad se ḳhālī rahe vo shaam nahīñ hai
phir paas bulā lījiye ai shāh-e-madīna
ham hind meñ jiite to haiñ ārām nahīñ hai
taiba se bahut duur haiñ be-lutf hai jiinā
vo sub.h mayassar nahīñ vo shaam nahīñ hai
ho pesh-e-nazar gumbad-e-ḳhazrā dam-e-āḳhir
is se to koī aur ḳhush-anjām nahīñ hai
har sher mirā 'tahniyat' ik nāla-e-dil hai
is se mujhe manzūr koī naam nahīñ hai
kab aap ka dar jalwa-gah-e-am nahin hai
kab sham-o-sahar daur mein wan jam nahin hai
baKHsha hai sharaf hum ko huzuri ka tum hi ne
ab hum ko kisi aur se kuchh kaam nahin hai
wo subh nahin jis mein na ho zikr tumhaara
jo yaad se KHali rahe wo sham nahin hai
phir pas bula lijiye ai shah-e-madina
hum hind mein jite to hain aaram nahin hai
taiba se bahut dur hain be-lutf hai jina
wo subh mayassar nahin wo sham nahin hai
ho pesh-e-nazar gumbad-e-KHazra dam-e-aKHir
is se to koi aur KHush-anjam nahin hai
har sher mera 'tahniyat' ek nala-e-dil hai
is se mujhe manzur koi nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.