kab diya ye jala hawa ke liye
kab diyā ye jalā havā ke liye
'ishq hotā nahīñ fanā ke liye
yaad mujh ko na aa ḳhudā kī tarah
ab mujhe baḳhsh de ḳhudā ke liye
aaj dekhā shahāb-e-sāqib to
haath phailā diye du'ā ke liye
maiñ ne pūchhā ki zindagī kyoñ hai
hañs ke bolā tirī sazā ke liye
ek lamhe ko jo amaañ de de
kitnā tarse haiñ us ridā ke liye
dil se koī sadā nahīñ ubhrī
jab se bichhḌā hai vo sadā ke liye
maar detī hai jaan se ham ko
phir bhī marte haiñ ham anā ke liye
apne ḳhuuñ se diyā jalāyā hai
maiñ ne is sar-phirī havā ke liye
ruuh ko bhī asiir kar Daalā
ham ne sayyād kī razā ke liye
kaun un ko miTā sakā hai 'sabīn'
miT ga.e haiñ jo karbalā ke liye
kab diya ye jala hawa ke liye
'ishq hota nahin fana ke liye
yaad mujh ko na aa KHuda ki tarah
ab mujhe baKHsh de KHuda ke liye
aaj dekha shahab-e-saqib to
hath phaila diye du'a ke liye
main ne puchha ki zindagi kyon hai
hans ke bola teri saza ke liye
ek lamhe ko jo aman de de
kitna tarse hain us rida ke liye
dil se koi sada nahin ubhri
jab se bichhDa hai wo sada ke liye
mar deti hai jaan se hum ko
phir bhi marte hain hum ana ke liye
apne KHun se diya jalaya hai
main ne is sar-phiri hawa ke liye
ruh ko bhi asir kar Dala
hum ne sayyaad ki raza ke liye
kaun un ko miTa saka hai 'sabin'
miT gae hain jo karbala ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.