kab ghair ne ye sitam sahe chup
kab ġhair ne ye sitam sahe chup
aise the hameñ jo ho rahe chup
shikva to kareñ ham us se aksar
par kyā kareñ dil hī jab kahe chup
sun shor galī meñ apnī har dam
bolā kabhī tum na yaañ rahe chup
jab ham ne kahā 'nazīr' is se
ham rahne ke yaañ nahīñ gahe chup
socho to kabhī chaman meñ ai jaañ
bulbul ne kiye haiñ chahchahe chup
kab ghair ne ye sitam sahe chup
aise the hamein jo ho rahe chup
shikwa to karen hum us se aksar
par kya karen dil hi jab kahe chup
sun shor gali mein apni har dam
bola kabhi tum na yan rahe chup
jab hum ne kaha 'nazir' is se
hum rahne ke yan nahin gahe chup
socho to kabhi chaman mein ai jaan
bulbul ne kiye hain chahchahe chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.