kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai
kab haq-parast zāhid-e-jannat-parast hai
hūroñ pe mar rahā hai ye shahvat-parast hai
dil saaf ho to chāhiye ma.anī-parast ho
ā.īna ḳhaak saaf hai sūrat-parast hai
darvesh hai vahī jo riyāzat meñ chust ho
tārik nahīñ faqīr bhī rāhat-parast hai
juz zulf sūjhtā nahīñ ai murġh-e-dil tujhe
ḳhuffāsh tū nahīñ hai ki zulmat-parast hai
daulat kī rakh na mār-e-sar-e-gañj se umiid
muuzī vo degā kyā ki jo daulat-parast hai
anqā ne gum kiyā hai nishāñ naam ke liye
gum-gashta kaun kahtā hai shohrat-parast hai
ye 'zauq' mai-parast hai yā hai sanam-parast
kuchh hai balā se lek mohabbat-parast hai
kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai
huron pe mar raha hai ye shahwat-parast hai
dil saf ho to chahiye mani-parast ho
aaina KHak saf hai surat-parast hai
darwesh hai wahi jo riyazat mein chust ho
tarik nahin faqir bhi rahat-parast hai
juz zulf sujhta nahin ai murgh-e-dil tujhe
KHuffash tu nahin hai ki zulmat-parast hai
daulat ki rakh na mar-e-sar-e-ganj se umid
muzi wo dega kya ki jo daulat-parast hai
anqa ne gum kiya hai nishan nam ke liye
gum-gashta kaun kahta hai shohrat-parast hai
ye 'zauq' mai-parast hai ya hai sanam-parast
kuchh hai bala se lek mohabbat-parast hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.