kab is zamin pe mujhe aarmida hona tha
kab is zamīñ pe mujhe ārmīda honā thā
havā se ḳhaak ko barsoñ parīda honā thā
agar thī dāman-e-jānāñ kī aarzū ai dil
to chand dam ke liye āb-dīda honā thā
kisī ke chehre pe hotā kisī ke dāman meñ
mujhe bhī aañkh kā ashk-e-chakīda honā thā
kabhī na ḳhidmat-e-dāman se sarfarāz huā
vo haath huuñ ki jise nā-rasīda honā thā
kamāl-e-be-adabī se ye arz karte haiñ
hamīñ se a qad-e-jānāñ kashīda honā thā
agar thī lazzat-e-pāmāl kī havas ai dil
ba-shakl-e-sabza zamīñ par damīda honā thā
ajab na thā ki use rahm kuchh na kuchh aatā
merī umiid tujhe abr-dīda honā thā
kamāl-e-rabt meñ hotī haiñ saikaḌoñ bāteñ
na is qadar tumheñ ham se kashīda honā thā
tirā jamāl banā maiñ kabhī, kabhī ehsāñ
ġharaz ye thī ki mujhe barguzīda honā thā
khulī ab aañkh to kyā fā.eda 'nasīm' afsos
na samjhe zer-e-lahad ārmīda honā thā
kab is zamin pe mujhe aarmida hona tha
hawa se KHak ko barson parida hona tha
agar thi daman-e-jaanan ki aarzu ai dil
to chand dam ke liye aab-dida hona tha
kisi ke chehre pe hota kisi ke daman mein
mujhe bhi aankh ka ashk-e-chakida hona tha
kabhi na KHidmat-e-daman se sarfaraaz hua
wo hath hun ki jise na-rasida hona tha
kamal-e-be-adabi se ye arz karte hain
hamin se a qad-e-jaanan kashida hona tha
agar thi lazzat-e-pamal ki hawas ai dil
ba-shakl-e-sabza zamin par damida hona tha
ajab na tha ki use rahm kuchh na kuchh aata
meri umid tujhe abr-dida hona tha
kamal-e-rabt mein hoti hain saikaDon baaten
na is qadar tumhein hum se kashida hona tha
tera jamal bana main kabhi, kabhi ehsan
gharaz ye thi ki mujhe barguzida hona tha
khuli ab aankh to kya faeda 'nasim' afsos
na samjhe zer-e-lahad aarmida hona tha
- Book : Ghazalistaan (Pg. 44)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.