kab kahan kis tarah safar karte
kab kahāñ kis tarah safar karte
ziist apnī thī jo basar karte
zindagī rāstoñ meñ kaaTī hai
gar Thaharte kahīñ to ghar karte
ḳhvāb achchhe nahīñ lage mujh ko
raat kaise tujhe guzar karte
chand qadmoñ meñ naap dete ham
gar jo sahrā tirā safar karte
ishq phir se nahīñ kiyā maiñ ne
phir jo karte to be-asar karte
kab kahan kis tarah safar karte
zist apni thi jo basar karte
zindagi raston mein kaTi hai
gar Thaharte kahin to ghar karte
KHwab achchhe nahin lage mujh ko
raat kaise tujhe guzar karte
chand qadmon mein nap dete hum
gar jo sahra tera safar karte
ishq phir se nahin kiya main ne
phir jo karte to be-asar karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.