kab mausam-e-bahaar pukara nahin kiya
kab mausam-e-bahār pukārā nahīñ kiyā
ham ne tire baġhair gavāra nahīñ kiyā
duniyā to ham se haath milāne ko aa.ī thī
ham ne hī e’tibār dobāra nahīñ kiyā
mil jaa.e ḳhaak meñ na kahīñ is ḳhayāl se
āñkhoñ ne koī 'ishq sitārā nahīñ kiyā
ik 'umr ke 'azāb kā hāsil vahīñ bahisht
do chaar din jahāñ pe guzārā nahīñ kiyā
ai āsmān kis liye is darja barhamī
ham ne to tirī samt ishārā nahīñ kiyā
ab hañs ke tere naaz uThā.eñ to kis liye
tū ne bhī to lihāz hamārā nahīñ kiyā
kab mausam-e-bahaar pukara nahin kiya
hum ne tere baghair gawara nahin kiya
duniya to hum se hath milane ko aai thi
hum ne hi e’tibar dobara nahin kiya
mil jae KHak mein na kahin is KHayal se
aankhon ne koi 'ishq sitara nahin kiya
ek 'umr ke 'azab ka hasil wahin bahisht
do chaar din jahan pe guzara nahin kiya
ai aasman kis liye is darja barhami
hum ne to teri samt ishaara nahin kiya
ab hans ke tere naz uThaen to kis liye
tu ne bhi to lihaz hamara nahin kiya
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 55)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.