kab mila koi rahbar tere ganw mein
kab milā koī rahbar tire gaañv meñ
ḳhuub bhaTke haiñ dar dar tire gaañv meñ
zulm sah kar bhī terī tamanna kare
hai koī ham sā dilbar tire gaañv meñ
aadmī aur haivān ke ruup meñ
ye bhī dekhā hai manzar tire gaañv meñ
ye hamārā hī dil hai ki hañstā rahā
choT par choT khā kar tire gaañv meñ
kaun dukhḌā sune kaun khaa.e taras
dil sabhī kā hai patthar tire gaañv meñ
kaun dil ko bachā kar chale kis tarah
har qadam par sitamgar tire gaañv meñ
'rāz' apne suḳhan par tū nāzāñ na ho
aur bhī haiñ suḳhan-var tire gaañv meñ
kab mila koi rahbar tere ganw mein
KHub bhaTke hain dar dar tere ganw mein
zulm sah kar bhi teri tamanna kare
hai koi hum sa dilbar tere ganw mein
aadmi aur haiwan ke rup mein
ye bhi dekha hai manzar tere ganw mein
ye hamara hi dil hai ki hansta raha
choT par choT kha kar tere ganw mein
kaun dukhDa sune kaun khae taras
dil sabhi ka hai patthar tere ganw mein
kaun dil ko bacha kar chale kis tarah
har qadam par sitamgar tere ganw mein
'raaz' apne suKHan par tu nazan na ho
aur bhi hain suKHan-war tere ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.