kab mohabbat se dekhte hain mujhe
kab mohabbat se dekhte haiñ mujhe
sab zarūrat se dekhte haiñ mujhe
merā nīñdoñ ke saath jhagḌā hai
ḳhvāb hasrat se dekhte haiñ mujhe
jañg jiitī hai kaise ḳhushbū se
phuul hairat se dekhte haiñ mujhe
maiñ to un se bhī pyaar kartā huuñ
jo hiqārat se dekhte haiñ mujhe
saare tiryāk paas haiñ mere
saañp nafrat se dekhte haiñ mujhe
bai.at-e-lafz jab se kī maiñ ne
harf izzat se dekhte haiñ mujhe
maiñ to sahrā kā rahne vaalā huuñ
peḌ qismat se dekhte haiñ mujhe
terā dīdār un kī mazdūrī
jo bhī mehnat se dekhte haiñ
jaane kab chashm-e-nīlgūñ barse
ashk muddat se dekhte haiñ mujhe
kab mohabbat se dekhte hain mujhe
sab zarurat se dekhte hain mujhe
mera nindon ke sath jhagDa hai
KHwab hasrat se dekhte hain mujhe
jang jiti hai kaise KHushbu se
phul hairat se dekhte hain mujhe
main to un se bhi pyar karta hun
jo hiqarat se dekhte hain mujhe
sare tiryak pas hain mere
sanp nafrat se dekhte hain mujhe
baiat-e-lafz jab se ki main ne
harf izzat se dekhte hain mujhe
main to sahra ka rahne wala hun
peD qismat se dekhte hain mujhe
tera didar un ki mazduri
jo bhi mehnat se dekhte hain
jaane kab chashm-e-nilgun barse
ashk muddat se dekhte hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.