kab sar-e-dosh-e-hawa KHak faqat meri hai
kab sar-e-dosh-e-havā ḳhaak faqat merī hai
ab to ye manzil-e-ġhamnāk faqat merī hai
āsmānoñ se udhar kaun sambhāle koī naqsh
ye zamīñ kahtī hai poshāk faqat merī hai
baiThtā jaatā hai ā.ina-e-hastī pe ġhubār
is ḳharābe meñ yahī ḳhaak faqat merī hai
Dūbte aur ubharte haiñ sitāre shab bhar
aur ye sūrat tah-e-aflāk faqat merī hai
baḳht-e-kūza kā fasāna koī āġhāz karo
ab jo miTTī hai sar-e-chāk faqat merī hai
kab sar-e-dosh-e-hawa KHak faqat meri hai
ab to ye manzil-e-ghamnak faqat meri hai
aasmanon se udhar kaun sambhaale koi naqsh
ye zamin kahti hai poshak faqat meri hai
baiThta jata hai aaina-e-hasti pe ghubar
is KHarabe mein yahi KHak faqat meri hai
Dubte aur ubharte hain sitare shab bhar
aur ye surat tah-e-aflak faqat meri hai
baKHt-e-kuza ka fasana koi aaghaz karo
ab jo miTTi hai sar-e-chaak faqat meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.