kab se ek tattul hai
kab se ek ta.attul hai
mere paas tahammul hai
har mushkil meñ ik hathiyār
mere paas tavakkul hai
terā koī murshid hai
jī haañ jī haañ bilkul hai
baat samajh meñ aatī hai
thoḌā bahut ta.aqqul hai
dekhā hai ban kar anjān
ye to saaf taġhāful hai
aane meñ kuchh maan.e hai
kuchh bhī nahīñ tasāhul hai
'roz' kī ġhazloñ par tanqīd
sab kuchh ma'-e-taġhazzul hai
kab se ek tattul hai
mere pas tahammul hai
har mushkil mein ek hathiyar
mere pas tawakkul hai
tera koi murshid hai
ji han ji han bilkul hai
baat samajh mein aati hai
thoDa bahut taqqul hai
dekha hai ban kar anjaan
ye to saf taghaful hai
aane mein kuchh mane hai
kuchh bhi nahin tasahul hai
'roz' ki ghazlon par tanqid
sab kuchh ma'-e-taghazzul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.