kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main
kab se is duniyā ko sargarm-e-safar paatā huuñ maiñ
phir bhī har manzil ko pahlī rahguzar paatā huuñ maiñ
murshid-e-mai-ḳhāne ke qadmoñ pe sar paatā huuñ maiñ
ab dimāġh-e-mai-parastī arsh par paatā huuñ maiñ
har taraf saaqī tirā faiz-e-nazar paatā huuñ maiñ
ḳhānqāhoñ meñ bhī mastī kā asar paatā huuñ maiñ
dam-ba-dam us ruḳh pe ik husn-e-digar paatā huuñ maiñ
har nigāh-e-shauq ko pahlī nazar paatā huuñ maiñ
sajda us kā hai jabīñ us kī hai qismat us kī hai
jis kī peshānī pe un kī ḳhāk-e-dar paatā huuñ maiñ
allāh allāh sākinān-e-kū-e-jānāñ kā vaqār
har gadā-e-āstāñ ko tājvar paatā huuñ maiñ
arsh ko hairat haram ko vajd nāzāñ bandagī
haa.e vo aalam ki jab sajde meñ sar paatā huuñ maiñ
le ga.e kis ke ruḳh o gesū bahār-e-roz-o-shab
muddatoñ se ghar ko be-shām-o-sahar paatā huuñ maiñ
duur hotī hai rah-e-ġhurbat meñ kosoñ kī thakan
jab kisī manzil pe koī ham-safar paatā huuñ maiñ
ahl-e-mahfil hoñge kyā ahl-e-basīrat ai 'shafīq'
mīr-e-mahfil hī ko be-fikr-o-nazar paatā huuñ maiñ
kab se is duniya ko sargarm-e-safar pata hun main
phir bhi har manzil ko pahli rahguzar pata hun main
murshid-e-mai-KHane ke qadmon pe sar pata hun main
ab dimagh-e-mai-parasti arsh par pata hun main
har taraf saqi tera faiz-e-nazar pata hun main
KHanqahon mein bhi masti ka asar pata hun main
dam-ba-dam us ruKH pe ek husn-e-digar pata hun main
har nigah-e-shauq ko pahli nazar pata hun main
sajda us ka hai jabin us ki hai qismat us ki hai
jis ki peshani pe un ki KHak-e-dar pata hun main
allah allah sakinan-e-ku-e-jaanan ka waqar
har gada-e-astan ko tajwar pata hun main
arsh ko hairat haram ko wajd nazan bandagi
hae wo aalam ki jab sajde mein sar pata hun main
le gae kis ke ruKH o gesu bahaar-e-roz-o-shab
muddaton se ghar ko be-sham-o-sahar pata hun main
dur hoti hai rah-e-ghurbat mein koson ki thakan
jab kisi manzil pe koi ham-safar pata hun main
ahl-e-mahfil honge kya ahl-e-basirat ai 'shafiq'
mir-e-mahfil hi ko be-fikr-o-nazar pata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.