kab se mang rahe hain tum se
kab se maañg rahe haiñ tum se
sāġhar se miinā se ḳhum se
ham bhī kuchh kuchh kho.e hue haiñ
aap bhī lagte haiñ gum-sum se
jāgeñge be-jān se jazbe
tere dahan ke harf-e-qum se
dosh-e-faras se dekheñ nīche
ek bañdhā hai dil bhī sum se
sun lo fasāna aañkh kā merī
dariyā se nadī se qulzum se
kab se mang rahe hain tum se
saghar se mina se KHum se
hum bhi kuchh kuchh khoe hue hain
aap bhi lagte hain gum-sum se
jagenge be-jaan se jazbe
tere dahan ke harf-e-qum se
dosh-e-faras se dekhen niche
ek bandha hai dil bhi sum se
sun lo fasana aankh ka meri
dariya se nadi se qulzum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.